Kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein
Ki hazaron sajde taDap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein
Tarab-ashna-e-KHarosh ho to nawa hai mahram-e-gosh ho
Wo sarod kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz mein
Tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina
Ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-aina-saz mein
Dam-e-tauf kirmak-e-shama ne ye kaha ki wo asar-e-kuhan
Na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
Na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
Mere jurm-e-KHana-KHarab ko tere afw-e-banda-nawaz mein
Na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shoKHiyan
Na wo ghaznawi mein taDap rahi na wo KHam hai zulf-e-ayaz main
Main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada
Tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein
Allama Iqbal Poem
Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahin ye fazaen
Yahan saikDon karwan aur bhi hain
Qanaat na kar aalam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
Maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaz hai kaam tera
Tere samne aasman aur bhi hain
Isi roz o shab mein ulajh kar na rah ja
Ki tere zaman o makan aur bhi hain
Gae din ki tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere raaz-dan aur bhi hain
Read More: Top 6 Allama Iqbal Poems
Poem of Allama Muhammad Iqbal
Majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de
Nazzare ki hawas ho to laila bhi chhoD de
Waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad
Duniya jo chhoD di hai to uqba bhi chhoD de
Taqlid ki rawish se to behtar hai KHud-kushi
Rasta bhi DhunD KHizr ka sauda bhi chhoD de
Manind-e-KHama teri zaban par hai harf-e-ghair
Begana shai pe nazish-e-beja bhi chhoD de
Lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq
Bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhoD de
Shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal
Is bagh mein qayam ka sauda bhi chhoD de
Hai aashiqi mein rasm alag sab se baiThna
But-KHana bhi haram bhi kalisa bhi chhoD de
Sauda-gari nahin ye ibaadat KHuda ki hai
Ai be-KHabar jaza ki tamanna bhi chhoD de
Achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql
Lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de
Jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar
Shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhoD de
ShoKHi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim
Shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhoD de
Waiz subut lae jo mai ke jawaz mein
'Iqbaal' ko ye zid hai ki pina bhi chhoD de
Read Also: Allama Iqbal Quotes