Friday, August 23, 2019

Love Poetry of Allama Iqbal in Urdu

Most interesting Love Poetry of Allama Iqbal. Read Love Shayari of Allama Iqbal, Love Ghazals of Allama Iqbal and Love Nazams & Nazms of Allama Iqbal.

Love Poetry of Allama Iqbal in Urdu 

Love Poetry of Allama Iqbal in Urdu

(1)

انوکھی وضع ہے ، سارے زمانے سے نرالے ہيں
يہ عاشق کون سی بستی کے يا رب رہنے والے ہيں

Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale Hain
Ye Ashiq Kon Si Basti Ke Ya-Rab Rehne Wale Hain

Love Poetry of Allama Iqbal

(2)

اقبال! کس کے عشق کا يہ فيض عام ہے
رومی فنا ہوا ، حبشیؓ کو دوام ہے

Iqbal ! Kis Ke Ishq Ka Ye Faiz-e-Aam Hai
Rumi Fana Huwa, Habshi Ko Dawam Hai

Love Poetry of Allama Iqbal

(3)

ميںانتہائے عشق ہوں ، تو انتہائے حسن
ديکھےمجھے کہ تجھ کو تماشا کرے کوئی

Main Intihaye Ishq Hun, Tu Intihaye Husn
Dekhe Mujhe Ke Tujh Ko Tamasha Kare Koi

Love Poetry of Allama Iqbal

(4)

آنکھ جو کچھ دیکھتی ہے لب پہ آ سکتا نہیں
محو حیرت ہوں کہ دنیا کیا سے کیا ہو جائے گی

Ankh Jo Kuch Dekhti Hai, Lab Pe Aa Sakta Nahin
Mehw-e-Hairat Hun Ke Dunya Kya Se Kya Ho Jaye Gi.

**************

قافلہِ عشق و وفا کا سالار ہے اقبال
کتابِ خودی کا انوکھا کردار ہے اقبال

عِلم و حِکمت ،فلسفہ و عشق و ادب
قدرت کا نایاب ہی شاہکار ہے اقبال

**************

Ishq Qatil Se Bhi Maqtool Se Hamdardi Bhi
Ye Bata Kis Se Muhabbat Ki Jaza Maangay Ga.

Sajda Khaliq Ko Bhi Iblees Se Yaarana Bhi 
Hashr Mein Kis Se Aqeedat Ka Sila Maangay Ga.

**************

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo

Tum Ne B Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hy
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo

Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Mai Wo Saaz Badal Dalo

Dushman K Iradon Ko Hy Zahir Agar Karna
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo

Ay Dost Karo Himat Kuch Door Sawera Hy
Agar Chahte Ho Manzil Tu Parwaaz Badal Dalo.

**************

Visit for more Poetry of Love

Read Also: Youth Poetry of Iqbal


No comments:

Post a Comment